Wednesday, June 22, 2011

aqwal-e-masoomeen -1 अक़वाले मासूमीन -1

‘‘रावी ने सरकारे सादिक़ से पूछा के एक ‘ाख़्स आपकी अहादीस रिवायत करता और मशहूर करता और शियों के क़ुलूब की इस्लाह करता है और दूसरा ‘ाख़्स आबिद है मगर वह रिवायत नहीं करता आपकी अहादीस को, उनमें कौन अफ़ज़ल है? फ़रमाया हमारी अहादीस की रिवायत करने वाला हज़ार आबिदों से बेहतर है।
(इमाम जाफ़रे सादिक़ अलैहिस्सलातो वस्सलाम)(उसूले काफ़ी जि0 1)

- वह बदबख़्त ‘ाक़ीउलक़ल्ब हलाक होगा, जो बावजूद यह जानने के के यह हदीसे मासूम (अ0) है, उससे इनकार करे और उससे इनकार करने वाला काफ़िर होगा।
(इमाम मोहम्मदे बाक़र अलैहिस्सलातो वस्सलाम) (उसूले काफ़ी, किताबे हुज्जत, बाब 109, हदीस 1)

आइम्मा, अरकाने ज़मीन- इरशादे पैग़म्बरे अकरम (स0अ0व0व0) है के मेरे अहलेबैत (अ0) में से इमाम (अ0) वह दरवाज़ाए रहमत हैं जिसके बग़ैर जन्नत में दाखि़ला मुमकिन नहीं है, वह राहे हिदायत हैं के जो उस पर चला वह ख़ुदा तक पहुंच गया यही कैफ़ियत अमीरूल मोमेनीन (अ0) और उनके बाद के जुमला आइम्मा की है, परवरदिगार ने उन्हें ज़मीने कारकुन बनायाा है ताके अपनी जगह से हटने न पाए और इस्लाम का सुतून क़रार दिया है और राहे हिदायत का मुहाफ़िज़ बनाया है, कोई राहनुमा इनके बग़ैर हिदायत  नहीं पा सकता है और कोई ‘ाख़्स उस वक़्त तक गुमराह नहीं होताा है जब तक इनके हक़ में कोताही न करे, यह ख़ुदा की तरफ़ से नाज़िल होने वाले जुमला उलूम, बशारतें, अन्जार सब के अमानतदार हैं और अहले ज़मीन पर उसकी हुज्जत हैं उनके आखि़र के लिये ख़ुदा की तरफ़ से वही है जो अव्वल के लिये है और इस मरहले तक कोई ‘ाख़्स इमदादे इलाही के बग़ैर नहीं पहुंच सकता है।
(इमाम मोहम्मदे बाक़र अलैहिस्सलातो वस्सलाम)- (काफ़ी 1 स0 198/3 इख़्तेसास स0 21, बसाएरूल दरजात 199/1)

आइम्मा (अ0) रसूल (स0) वारिसे अम्बिया (स0)-- हमारे पास मूसा की तख़्ितयां और उनका असा मौजूद है और हमीं तमाम अम्बिया के वारिस हैं। 
(इमाम जाफ़रे सादिक़ अलैहिस्सलातो वस्सलाम)(काफ़ी 1 स0 231/2)


आइम्मा (अ0) अल्लाह के नूर हैं- आइम्मा (अ0) अल्लाह के नूर हैं, नूरे इमाम क़ुलूबे मोमेनीन में है, वह निस्फ़ुलनहार सूरज से ज़्यादा रोशन होता है, आइम्मा, मोमेनीन के क़ुलूब को मुनव्वर कर देते हैं, अल्लाह उनके नूर से जिसको चाहता है छिपाता है तो लोगों के कु़लूब तारीक हो जाते हैं, जब तक अल्लाह किसी के क़ल्ब को पाक न करे वह इन्सान हमसे मोहब्बत व दोस्ती नहीं रखता, हमसे सुलह रखने वाला क़ल्ब अल्लाह से सख़्त अज़ाब से  और रोज़े क़यामत के अज़ीम ख़ौफ़ से महफ़ूज़ रहता  है।
(इमाम मोहम्मदे बाक़र अलैहिस्सलातो वस्सलाम) (उसूले काफ़ी किताबुल हुज्जत)


आइम्मा (अ0) हुज्जतुल्लाह- हम अल्लाह की तरफ़ से निशानी, रहनुमा, हुज्जत, जानशीन, अमीन और पेशवा हैं। हम अल्लाह का ख़ूबसूरत चेहरा, देखती हुई आंख सुनने वाले कान हैं हमारे सबब अल्लाह अपने बन्दों को अज़ाब व जज़ा देता है।
(इमाम अली इब्ने अबूतालिब़ अलैहिस्सलातो वस्सलाम)

आइम्मा (अ0) अपने फ़िरक़े पर गवाह- रोज़े क़यामत हम  हर गिरोह को उसके गवाह के साथ बुलाएंगे, और ऐ रसूल (स0) तुमको बनाएंगे उन सब पर गवाह, यह आायत उम्मते मोहम्मदिया के बारे में ख़ास तौर  पर नाज़िल हुई है। इनमें से हर फ़िरक़ा अपने इमाम के साथ होगाा, हम उन पर गवाह होंगे और पैग़म्बरे अकरम (स0) हम पर गवाह होंगे।
(इमाम जाफ़रे सादिक़ अलैहिस्सलातो वस्सलाम)-  (उसूले काफ़ी किताबुल हुज्जत)


आइम्मा (अ0) से मोहब्बत - यूसुफ़ बिन साबित बिन अबी सईद, इमामे सादिक़ (अ0) से नक़्ल करते हैं के जब लोगों ने आपके पास हाज़िर होकर अर्ज़ की के हम आपसे क़राबते रसूल और हुक्मे ख़ुदा की बिना पर मोहब्बत करते हैं और हमारा मक़सद हरगिज़ किसी दुनिया का हुसूल नहीं है, सिर्फ़ रिज़ाए इलाही और आखि़रत मतलूब है और हम अपने दीन की इस्लाह चाहते हैं तो आपने फ़रमाया के तुम लोगों ने यक़ीनन सच कहा है, अब जो हमसे मोहब्बत करेगा वह रोज़े क़यामत दो उंगलियों की तरह हमारे साथ होगा।
(इमाम जाफ़रे सादिक़ अलैहिस्सलातो वस्सलाम)-  ( काफ़ी 8 स0 80106, तफ़्सीरे अयाशी 2स0 69/61)

आइम्मा (अ0) से मोहब्बत - हमारी मोहब्बत ईमान है और हमारी अदावत कुफ्ऱ है।
(इमाम मोहम्मदे बाक़र अलैहिस्सलातो वस्सलाम) (काफ़ी 1 स0 188/12)


आइम्मा (अ0) से मोहब्बत - जो हमसे मोहब्बत करेगा वह क़यामत में हमारे साथ होगा और अगर कोई इन्सान किसी पत्थर से भी मोहब्बत करेगा तो उसी के साथ महशूर होगा।
(पैग़म्बरे अकरम स0) (इमाली सुद्दूक़ स0 174/9)

Monday, June 20, 2011

Mukhtalif Aqwal

1.      Holy Quran - Aye aulade Adam! Har namaz ke waqt bun-sawar ke nikhar kar jaaya karo, aur khao aur piyo, aur fizul kharchi mat karo (kyunki) Allah fizul kharch karne walo ko dost nahi rakhta. Source : Holy Quran (Sure A’araaf A – 31)
2.      Holy Quran - Aye Imaan walo’n! Mushrekeen to yaqeenan najis hai…Source : Holy Quran (Sure Tauba – 9:28)
3.      Holy Quran - Yaqeenan, jo log paak-daman, be-khabar, momena aurto’n par gande ilazaam lagate hai, un par dunia aur akherat me Allah ki la’nat hai aur bada sakht azaab hoga. Source : Holy Quran (Sure Noor (24-23)
4.      Holy Quran - Momeneen to apas me bhai bhai hai to apne do bhaiyo’n me samjhota kara diya karo aur Allah se darte raho taaki tum par rahem kiya jaaye.Source : Holy Quran (Sure Hujraat – 10)
5.      Holy Quran - Aye wo log jo imaan laye ho, jab juma ke din namaz ke liye pukara jaye to Allah ke zikr ke liye tezi se daudo, aur kharid o farokht band kar do, ke ye tumhare liye ziyada behtar hai, agar tum samjho to. Source : Holy Quran(Sure Juma – 9)
6.      "Hazrat Muhammad Mustafa S.A.W.W- "Neik Aurat Jannat Ke Phoolo Mein Se ek Phool Hai"  Ref: Tehzibul Islam P# 139
7.      Rasule Khuda (SAWW):Jab kabhi koi fakir raat ke waqt darwaze par dastak dekar kuch maange, to kabhi bhi oosay thukrana nahi.Source : Uddatud Dai
8.      Rasule Khuda (SAWW)Jo koi Subhanallah kahega Allah uske liye Jannat me har tarah ke fal (fruit) wale 10 darakht lagayega.Source : Uddatud Dai
9.      Rasule Khuda (SAWW)Jo koi sone se pehle Sure Takaasur (sura no. 102) ki tilawat karega, wokabr ki takleef se mehfooz rahega.Source : Uddatud Dai
10.  Rasule Khuda (SAWW)Allah ke 99 naam hai, jo koi usay in namo’n se pukarega uski Dua mustajab hogi aur jo koi inhe yaad karega wo Jannat me daakhil hoga.Source : Uddatud Dai
11.  Rasule Khuda (SAWW)Jo koi kabrastan me daakhil hokar Sure Yasin padhta hai, Allah wahan k sab marhumin par us din azaab kam karta hai, aur us shaks k liye wahandafan marhumin ki ginti k barabar hasnaat likhe jayege.Source : Uddatud Dai (Hadees 375)
12.  Rasule Khuda (SAWW)Jo shakhs is duniya me bade maze ke saath behuda baatein aur gaali galoch karta hai, jahannum mein uske mooh se puss aur khoon bahega.Source : Greater Sins 1 (Qazaf)
13.  Rasule Khuda (SAWW)Agar aap MUSTAHAB namaz padh rahe ho aur agar aap ke waalid (baap) aap ko bulate hai to namaz mat todo; magar aap ki MAA agar bulati hai to namaz tod do.Source : Greater Sins 1 (Aaq-e-Waledain)
14.  Rasule Khuda (SAWW)Wo jo kisi jaadugar, ojha, kaazib ke paas jaata hai aur uske kahe ko sach qaraar deta hai, wo Allah ki sab kitabo’n ki nazar me KAAFIR ho gaya.Source : Greater Sins 2 (Sorcery)
15.  Rasule Khuda (SAWW)Kisi shaadi-shuda ki 2-rakat namaz, ek gair shaadi-shuda ki raat bhar ki ibaadat aur 1 din ke roze se behtar hai.Source : shiarightpath.quran (24:32)
16.  Rasule Khuda (SAWW)Apni namaz ke baad 30 baar kaho: Subhanallahi Walhamdulillahi Wa Laailaaha Illallahu Wallahu Akbar…ye alfaaz aadmi ko dukh se, deewar ke girne se, aag se, paani me doobne se, junglee janwar ke humle se, kharab maut se aur din me aasman se naazil honewali balaa se mehfooz rakhte hai.Source : Uddatud Dai
17.  Rasule Khuda (SAWW)Wo muslim jo haisiyat ke bawajood, qarz chukane me DERI karta hai, usne tamaam muslimo’n par ZULM kiya.Source : Greater Sins II
18.  Rasule Khuda (SAWW) Jo muslim subh sadiq se suraj nikalne tak apne musalle par baitha rehta hai (Ibaadat & Tilawat karta hai) Allah ose jahannam ki aag se bachaega.Source : Children’s Guide to Islam
19.  Rasule Khuda (SAWW) Jab tak momin 5 waqt ki namaz ko pabandi e waqt se padhta hai to shaitan us say khauf-zada rehta hai. (Wasael us Shia)Source : Jadeed Fiqhi Masael (Ayatullah Seestani)
20.  Rasule Khuda (SAWW) Roze qayamat Khuda k nazdeek sabse azeem manzilat us shakhs ki hogi jo rooye zameen par logo’n ko sabse ziyada nasihat karta raha hai.Source : Wasiyyatnama (Ayatullah Mamkani)
21.  Rasule Khuda (SAWW) Jawani ko budhape se pehle, sahet ko bimari se pehle, fursat ko masrufiat se pehle, taakat ko kamzori se pehle & zindagi ko maut se pehle Ganimat samjho (aur uska faydaa uthao)Source : Wasiyyatnama (Ayatullah Mamkani)
22.  Rasule Khuda (SAWW) Muslim wo hai ke jiske haath aur zabaan se musalman salamat hai.Source : Children’s Guide to Islam
23.  Rasule Khuda (SAWW)Ya ALi(a.s) Main Tum, Tumharey Dono Farzand Hassan(a.s) Hussain(a.s) Or AuLad.E.Hussain Ke 9 Farzand(a.s) Deen K Arkan Or IsLam K Saton Hain, Jo Hmara Itbaa Kry Ga Nijat Paye Ga, Jo Hum Se Alag Ho Ga Is Ka Anjam Jahanum Ho Ga. Book Ref: AQwaL.E.Masomen(a.s).
24.  Rasule Khuda (SAWW) Jiske dil me zarra baraabar bhi takabbur hoga, wo Jannat me daakhil nahi hoga.Source : Children’s Guide to Islam
25.  Rasule Khuda (SAWW) Be Shak Humara Shia Woh Hai Jo Humari Pervi Kary, Humary Naqsh-E-Qadam Par Chalay, aur Humara Kirdar Ko Apnaye,     Ref= Mizan Ul Hikma Jild 6
26.  H. Ali (AS):Jo duniya chahta hai usay maut dhunti hai taake usay duniya se nikaal bahar kare. Aur jo aakherat chahta hai usay duniya dhundti hai taake uski rozi oos tak pahu’ncha de.Source : Tajalliyate Hikmat (Duniya)
27.  H. Ali (AS)Char cheez Jannat ki taraf bulati hai: Musibat ko chhupana, chhupakar sadqa dena, waledain se neki, aur bahut zyada ‘La elaha Illallah’ kehna.Source : Tajalliyate Hikmat
28.  H. Ali (AS)Jo koi raat ko sone se pehle 3 baar Sure Ikhlaas (Qulho Wallaho Ahad) padhe, to Allah 50000 farishte bhejega jo us raat uski hifaazat karege.Source : Uddatud Dai
29.  H. Ali (AS)Logon ke darmiyan aise raho ke agar aap mar jaate ho to wo aap par roye aur agar aap zinda ho to wo aap ke saath ke liye tarse.Source : Nahjul Balagah (Saying 9)
30.  H. Ali (AS)Sab se bada aib ye hai k tum un baton ko doosro’n k liye aib qaraar do jo tum mein khud maujood ho.Source : Tajalliyate Hikmat (Aib-1)
31.  H. Ali (AS)Neend kitni buri cheez hai jo qaleel (Chhoti) umr ko kam kar deti hai aur kaseer (zyada) ajr o sawab ko khatm kar deti hai.Source : Tajalliyate Hikmat (Neend)
32.  H. Ali (AS)Jisne tabeeb (doctor) se apni bimari chhupayi, usne apne jism ke saath khayant ki. Source : Tajalliyate Hikmat (Bimari)
33.  H. Ali (AS) Agar namaz padhnewale ko ilm ho jaye ke kaisi rehmato’n ne usay gher rakkha hai to wo kabhi sajde se sar na uthaye.Source : Tajalliyate Hikmat (Namaz)
34.  H. Ali (AS) Tumhare nafso’n ki JANNAT ke siwa koi aur qeemat nahi, lihaza is ko Jannat ke alawa kisi aur cheez ke badle me (hargiz) na becho.Source : Tajalliyate Hikmat (Jannat)
35.  H. Ali (AS) (ILAHI) mai ne teri ibadat na tere Jahannum ke khauf se ki hai aur na teri Jannat ki laalach me, balke maine tujhe ibadat ke layak paya is liye teri ibadaat ki.Source : Tajalliyate Hikmat (Ibadat)
36.  H. Ali (AS) Bad’tareen takabbur / ghamand insaan ka apne rishtedaro’n aur apne hi jaise logo’n se takabbur karna.Source : Tajalliyate Hikmat (Taqabbur)
37.  H. Ali (AS) Jo shakhs ek maaldar aadmi ke paas agar sirf uski daulat ki wajah se jaata hai aur uski izzat karta hai, to who apna do-tihaai (two-third) mazhab kho deta hai.Source : Islamic Morals (13-Greed & its harms)
38.  H. Ali (AS) Ai logo’n! Jab kabhi tum kuch sikho to us par amal karo, taaki tumhe hidaayat haasil ho.Source : Islamic Morals (2- Rebuke for those..)
39.  H. Ali (AS) Jo duniya ki khidmat karta hai duniya usay apna khadim bana leti hai & jo Allah Ta’la ki khidmat karta hai, duniya uski khadim ho jati hai.Source : Tajalliyate Hikmat (Duniya)
40.  H. Ali (AS) Moazzin ki (azaan ki) awaaz par (namaz ke liye) daud padne se rozi badhti hai. Source : Tanzeemul Makatib (Dec-04)
41.  H. Ali (AS) Kisi k gunaah beparda karne me jaldi na karo kyu k wo maaf ho sakte hai, & apne 1 chhote gunaah se bhi khud ko mehfuz na samjo kyu k tumhe iski sazaa ho sakti hai.Source : Tajalliyate Hikmat (Gunaah)
42.  H. Ali (AS) Jab Allah kisi bande ko zaleel karna chaahta hai to ilm ka darwaza uske liye band kar deta hai.Source : Tajalliyate Hikmat (Ilm)
43.  H. Ali (AS) Haq se badhkar taarif karna CHAAPLUSI hai; aur haq se kam taarif karna ya to bolne ki kamzori hai ya phir HASAD (jealousy) hai.Source : Tajalliyate Hikmat (Taarif)
44.  H. Ali (AS) Tumhare 3 dost hai & 3 dushman. Tumhare dost matlab tumhara dost, dost ka dost, dushman ka dushman. Tumhare dushman matlab tumhara dushman, dost ka dushman, dushman ka dost.Source : Tajalliyate Hikmat (Dost)
45.  H. Ali (AS) Aalim jaahil ko samajh sakta hai kyun k wo pehle kabhi jaahil tha. Jaahil aalim ko nahi samajh sakta kyun k wo pehle kabhi aalim na tha.Source : Tajalliyate Hikmat (Ilm)
46.  H. Ali (AS) FITNO’N aur BIDA’TO’N ki alaamatei’n (nishani) NA BANO balke ehle jamaat ne jo kuchh tai kiya hai OOSI KE paaband raho.Source : Tajalliyate Hikmat (Giroh, Jamaat Pg 107)
47.  H. Ali (AS) Sabse badtareen dost wo hai jiske liye rasmo-riwaj (formality) nibhani padti hai.Source : Nahjul Balagah H. Ali (AS) Bila shubah, aaj amal hai hisaab nahi aur kal hisab hoga amal nahi.Source : Tajalliyate Hikmat (Amal)
48.  H. Ali (AS) Amal bagair kisi riyaakari ya dikhawe ke anjaam do, kyunki jo Allah ke ilawa kisi aur ke liye amal karta hai, to Allah usay oosi ke sahare chhod deta hai.Source : Tajalliyate Hikmat (Riyaakari) H. Ali (AS) Sabse badaa gunaah wo hai jiska karnewala oose chhota samjhe.Source : Greater Sins III
49.  H. Ali (AS) Jiski tamannaei’n zyada hogi, uska amal kharab ho jaayega.Source : Tajalliyate Hikmat (Chapter 22)
50.  H. Ali (AS) Jis se tum ne apni haajat bayaan kar di, uske saamne tum be-izzat ho gaye. Source : Tajalliyate Hikmat (Chapter 53)
51.  H. Ali (AS) Aye gunah par gunah kiye jaane wale! Tera baap (Janabe Adam) sirf ek gunah ki wajah se jannat se nikal diya gaya tha. Source : Tajalliyate Hikmat (Chapter 88)
52.  H. Ali (AS) Usay apna koi raaz na batao jiska koi raaz tumhare paas na ho.Source : Tajalliyate Hikmat (Chapter 104)
53.  H. Ali (AS) Aey Logo mughy tumhary bary main sabse ziada 2 baton ka dar hy. Ek Khwahishon ki pervi aur doosrey ummeedon ka phailao. Khowaheshon ki pervi vo chez hai jo haq se rok deti hai Aur ummeedon ka phelao aakhrat ko bhula deta hai. Nehjlblaga p#175
54.  Imam Hussain(a.s) - Is Shaks Par Bhi Ehsaan Karo Jis Se BadLay Ki TawaQa Na Ho Book Ref: Aqwal.E.Masoomen(a.s)
55.  I. Sajjad (AS) - Sabr imaan ke liya aisa hai jaise jism ke liye sir, jiske paas sabr nahi hai uske paas imaan nahi hai.
56.  I. Sajjad (AS)Ta’jjub hai! Log bimari ke khauf se khana chhod dete hain magar azaab kekhauf se gunaah se nahi bachte.Source : Tanzeemul Makatib (Dec-04)
57.  I. Sajjad (AS) Har baat me jooth bolne se parhez karo chhota ya bada, sanjidgi me ya mazaak me. Kyunki agar koi mamuli bato’n me jhoot bolne lagta hai to jald hi uski jur’at badh jaati hai aur wo phir ahem bato me (bhi) jhoot bolne lagta hai.Source : Jadeed Fiqhi Masael (Ayatullah Seestani)
58.  I. Sajjad (AS) Khabrdar Gunahon Par Khush Na Hona Kyun K Gunahaon par Khush Hona Gunah Karny Say Zayada Azeem Hai REF: Aqwal 14 Masoomeen
59.  I. Baqir (AS) Agar koi shakhs kuch haasil karne ya dunyavi kaam pura karne k liye Haj ko taalta hai to wo dekhega ke log Haj ko jaakar laut aaye magar na to uska maqsad haasil hua aur na kaam pura hua. Source : Greater Sins III
60.  Imam Muhamad BaQir(a.s)- Humari Muhabat Emaan Hai Or Hmari Adawat Kufur Book Ref: AQwaL.E.Masomen(a.s)
61.  I. Sadiq (AS) Har cheez ki zakaat hai, aur ilm ki zakaat ye hai ke jo mustahak hai unhe taalim di jaye.Source : Tajalliyate Hikmat (Ilm)
62.  I. Sadiq (AS) Ek lukma haraam khane ka tark karna (bachna), Allah ko 1000 rakat mustahab namaz se zyada pasand hai.Rasule Khuda (SAWW)
63.  I. Sadiq (AS) Jo koi subah ko 4 baar ‘Alhamdo Lillahe Rabbil Aalamin’ kahe to usne us din ke liye Allah ka shukr adaa kiya, aur agar shaam me kahe to us raat ke liye shukr adaa kiya.Source : Uddatud Dai (Hadees 3)
64.  I. Sadiq (AS) Wo ghar jahan music bajta hai wo haadso’n se mehfooz nahi hai. Aisi jagah Dua qabul nahi hoti. Farishte aisi jagah daakhil nahi hote.Source : Greater Sins 2 (Singing – 5)
65.  I. Sadiq (AS) Be shak, jab koi shakhs jhoot bolta hai to usay Namaz-e-Shab padhne ka mauka nah milta. Aur jab usay ye mauka nahi milta, to uski rozi me izaafa nahi hota.Source : Source : Greater Sins 2 (Lying – 30)
66.  I. Sadiq (AS) Ek dirham haraam paise ka tark karna, Allah ke nazdeek 70 qabool-shuda Hajj ke barabar hai.Source : Greater Sins 1 (Taqwa – 2)
67.  I. Sadiq (AS) Har wo muslim jo kisi marhoom ki taraf se amal-e-khair karta hai to Allah usko uska dugna sila dega & marhoom ko bhi iska sawab milega.Source : Uddatud Dai
68.  I. Sadiq (AS)Jo humpur huwe zulm pe gumzada hai, uski har saans Tasbeeh hai, aur uska maatam Ibaadat hai. (Amaali pg 338)
69.  I. Sadiq (AS) Momin,Momin Se Isi Tarah taskeen pata Hai Jaise Piyasa Thanda Pani Se.      Ref: Usol-e-Kafi   V#4 P#188
70.  I. Sadiq (AS)  "Agar koi Shuks Pani Peetay Waqt Imam Hussain A.S K Qaatil Pr Laanat Karey aur In Ki Pyaas Ko Yaad Karey To Allah Taala Isay  (aik Laakh) Ghulaam Azaad Krnay Ka Sawaab ataa frmata Hai.    Ref: Kaamil Ul Zyaaraat P# 222
71.  I. Sadiq (AS) Humara Shia Char Chezon Ka Munkir Nehi Hota 1-Meraaj 2-Sawal-E-Qabar 3-Janat Or Dozakh Ka Khalq Hona 4-Shafat  "Imam Sadiq (A.S)" Ref= Mizan Ul Hikma Jild 6
72.  I. Sadiq (AS) Khuda Ki Qasam Wahi Shaks Ali (A.S) Ka Shia Hai Jo Apne Pait Or Shahot Ko (Haram) Se Pak Rakhay Khushnodi-E-Khuda Ki Khatir Amaal Anjaam Day, Khuda K Sawab Ki Umeed or Azab-E-Ilahi Se Khof Zada ho "Imam Sadiq (A.S)" Ref=Bihar al-Anwar Jild 65
73.  I. Sadiq (AS) Tumhary AmaaL Hr Subha Ko Paigamber Akram(s.a.w.w) Or Aema Tahaireen K Samny Paish Hotay Hain, Pas Tum Bad AmaLi Na Kia Kro Paigamber Akram(s.a.w.w) Ko Tmhari Bad AmaLion Se Ranj Hota Hai, Un Ko Azarda Mt Kia Kro BaL K Un Ko Khush Rakha Karo. Book Ref: AQwaL.E.Masomen(a.s)
74.  I. Reza (AS) Jo roze Ashura apni (dunyavi) haajat talab karne se parhez karta hai, to Allah uski dunyavi aur aakherat ki haajat poori karta hai. (Wasail v 14, p 504)
75.  I. Reza (AS)Beshaq, shahdate Husain (AS) ki hararat momeneen k dilo’n me hogi, jo kabhi bhi kam nahi hogi. (Mustadrak Wasa’il v 10, p 318)
76.  I. Reza (AS) "Gunahon Say Tauba Karny Wala Aisa Hai Goya Usne Koi Gunah Nahi Kiya Ref: Aqwal 14 masomeen
77.  I. Md. Taqi (AS) Allah par bharosa har bulandi tak pahunchne ka zariya hai. Source : Tanzeemul Makatib (Dec-04)
      78. I. Ali Naqi (AS) Waldein Ki Nafarmani Qilat-E-Rozi Aur Zilat-O-Ruswai Ka Sabab Hoti Hai. REF:Aqwal 14 Masomeen

Sunday, June 19, 2011

aqwale masoomeen (a.s.) 1-12 अक़वाले मासूमीन (a.s.)1-12

पैग़म्बरे इस्लाम (स0) की चालीस हदीसें

1. ऐ ख़ुदा के बन्दों!
तुम सब बीमार की तरह हो और ख़ुदावन्दे आलम तबीब की तरह है पस मरीज़ों की सलाह (यानी) तुम्हारी सलाह इसी में है के जिसको तबीब जानता है और उसके लिये दस्तूर देता है (उसकी सलाह) इसमें नहीं है जो मरीज़ जानता है और जो करता है (लेहाज़ा) ख़ुदा के एहकाम की पाबन्दी करो ताके कामयाब रहो।
(मजमु-ए-वद्दाम, जिल्द-3, सफ़ा 117)
Hazrat Muhammad (s.a.w.w.) ne farmaya kae:-

Aae Khuda kae bando!

"Tum sabb beemaar kee tarha hoe orr Khudawant Tala Tabeeb kee tarha hai. Lehaza Mareez kee sala (Ilaaj) yanee tumharee sala (Ilaaj) issee main hai jiss koe tabeeb janta hai orr uss kae liyae dastoor daita hai. Uss kee sala (Ilaaj) uss main nahin hai joe mareez chahta hai orr karta hai lehaza khuda kae ahkaam kee pabandee karo taqae kamyaab raho."

[REFERENCE: Majmooa e Waraam volume No. 2 Page 117]

2. जो इस आलम में सुबह करे के मुसलमानों के उमूर की (फ़िक्र और उसका) एहतेमाम न करे वह मुसलमान नहीं है (इसी तरह) जो मुसलमानों की मदद को पुकार रहा हो तो जो भी उसकी आवाज़ पर लब्बैक न कहे वह (भी) मुसलमान नहीं है। (बिहार, जिल्द 74, सफ़ा 339)
Jo iss aalam main subha karae kae musalmanoon ke amoor kee fiqr or us ka ehtamaam na karae woe musalmaan nahin hai. Issee tarha joe Musalmaan ki madad ko pukaar raha ho to jo bhee uss ki awaz per labbaik na kahe wo bhee Musalmaan nahin hai
[REFERENCE: Bihar ul Anwaar Volume 74 Page 339]


3. रसूले ख़ुदा (स0) ने एक छोटे से लश्कर को (दुश्मनों से जंग के लिये) भेजा जब वह वापस आए तो रसूल (स0) ने फ़रमाया! इन लोगों के लिये मरहबा है जो छोटे जेहाद से आ गए और अब इनके ऊपर बड़ा जेहाद बाक़ी है, तो पूछा गया ः ऐ रसूले (स0) जेहादे अकबर क्या है? फ़रमाया नफ़्स से जेहाद करना।
(वसाएल शीया, जिल्द 11, सफ़ा 122)
Rasoole khuda (s.)   ne ek chote se lashkar ko dushmano se jang ke liye bhejha  jab wo log wapis aye to Rasool  ne farmaya "Unn logon ke liye marhaba hai jo chhote jehad se aa gaye or ab un ke ooper  bada jehad baqi hai". Poochha gaya "Ae Khuda ke Rasool  Jehad e Akbar kya hai?" Aap  ne farmaya "Nafs se jehad karna"
[REFERENCE: Wasail ul Shia Volume 11 Page 122]


4. जब मेरी उम्मत में बिदअतें फूट पड़ें तो आलिम की ज़िम्मेदारी है अपने इल्म को ज़ाहिर करे और जो ऐसा न करे उस पर ख़ुदा की लानत है।
(उसूले काफ़ी, जि0 1, स0 54)
Jab meri ummat main bidatain phoot parain to Aalim kee zimadaree hai kae apnae ilm ko zahir kare or jo aisa na kare us per lanat hai.
[REFERENCE: Usool e Kafi Volume 1 Page 54]


5.फोक़हा रसूलों और पैग़म्बरों के उस वक़्त तक अमीन हैं- यानी पैग़म्बरों के अमीन नुमाइन्दे और मौरिदे इत्मीनान हैं जब तक उमूरे दुनिया दाखि़ल न हों- पूछा गया ऐ ख़ुदा के रसूल (स0) उमूरे दुनिया में दाखि़ल होने का क्या मतलब है? रसूले ख़ुदा (स0) ने जवाब दिया ः दुनिया में दाखि़ल होने का मतलब बादशाह (हाकिमे ताग़ूत) की पैरवी करने लगें, जब यह ओलमा सुलतान की पैरवी करने लगें तो अपनी दीन (की हिफ़ाज़त) में उनसे परहेज़ करो।
(कन्ज़ुल अमाल हदीस 28952)
Fuqaha Rasulon or Paighambaron ke us waqt taq ameen hain jab taq umoor-e-dunya main dakhil na hoon". Poocha gaya ke ae Khuda ke Rasool  "Dunya main dakhil hone ka matlab kya hai"? Rasool  ne farmaya "Dunya me dakhil hone ka matlab hai badshah (taghoot) ki pairvi karne lagain. Jab Ye Ulima Sultan ki pairvi karne lagain to apne deen ki hifazat main unse parhaiz karo".  
[REFERENCE: Usool e Kafi Volume 1 Page 86, Kanz ul Amaal Hadith No. 28952]


6. मैं अपनी उम्मत के सिलसिले में न किसी मोमिन से ख़ौफ़ खाता हूँ न किसी मुशरिक से, इसलिये के मोमिन का ईमान उम्मत को गज़न्द पहुंचाने से रोकेगा और मुशरिक का कुफ्ऱ ख़ुद उसकी ज़िल्लत व रूसवाई का सबब होगा। हाँ उस मुनाफ़िक़ के गज़न्द पहुंचाने से डरता हूँ जो चर्बे ज़बान हो और ज़बान दराज़ हो (क्योंके वह) जिन चीज़ों की ख़ूबी को तुम जानते हो उसको ज़बान से कहेगा और जिनसे तुम को नफ़रत है अमलन उसी को अन्जाम देगा।
(बिहारूल अनवार जि0 2 स0 110)
Main apnee Ummat ke silsile me na kisi momin se khof khata hoon na kisi mushriq se. Iss liye ke momin ka Eemaan ummat ko gazand pahuchane se rokega or mushriq ka kufar khud uski zillat o ruswayi ka sabab hoga. Haan us munafiq ke gazand pahuchane se darta hoon jo charb zubaan ho or zubaan daraaz ho kyonke wo jin cheezo ki khubi ko tum jante ho us ko zubaan se kahega or jin se tum ko nafrat hai us ko anjaam dega"
[REFERENCE: Bihar ul Anwaar Volume 2 Page 110 ]

7. क़यामत के दिन ख़ुदा की तरफ़ से एक मुनादी निदा करेगाः सितमगार कहाँ हैं? सितमगारों के मददगार कहाँ हैं? जो लोग सितमगारों की दवात में कपड़ा डालते थे वह कहाँ हैं? जो उनकी हथेली को बान्धते थे, वह कहां हैं? जो उनका क़लम बनाते थे, वह कहां हैं? इन तमाम सितमगारों को एक जगह महशूर करो!

(बिहारूल अनवार, जि0 75, स0 372)
Qayamat ke din ek nida karne wala nida karega ke Sitamgaar kahan hain? Sitamgaroon ke madadgaar kahan hain? jo loag Sitamgaron ki dwaat me kapra dalte the wo kahan hain? jo unki hatheli koe bandhte the woe kahan hain? joe unn ka qalam bandhte the wo kahan hain? Inn tamam Sitamgaroon ko ek jagah mehshoor karo.
[REFERENCE: Bihar Ul Anwaar Volume 75 Page 372]

8. हर नेकी के ऊपर एक नेकी है यहाँ तक के कोई राहे ख़ुदा में शहीद हो जाए जब वह राहे ख़ुदा में क़त्ल कर दिया जाए तो (यह ऐसी नेकी है के) उसके ऊपर कोई नेकी नहीं है।
(बिहारूल अनवार जि0 100 स0 10)
Hazrat Muhammad  (s.a.)  Ne farmaya: "Har neki ke ooper ek neki hai yahan taq ke koi Rah-e-Khuda me shaheed ho jaye jab wo Rah-e-Khuda me qatl kar diya jaye to ye aisee neki hai ke us ke ooper koi neki nahin hai.
[REFERENCE: Bihar ul Anwaar Volume 100 Page 10]


9. सबसे बदतर वह शख़्स है जो अपनी आख़ेरत अपनी दुनिया के लिये बेच दे और उससे भी बदतर वह शख़्स है जो अपनी आख़ेरत दूसरे की दुनिया के बदले बेच दे।
(बिहारूल अनवार जि0 77 स0 46)
Sabse badtar wo shakhs hai jo apni aakherat apni dunya ke liye bech de or usse bhi badtar wo shakhs hai jo apnee aakhirat doosre ki dunya ke badle bech de.
[REFERENCE: Bihar ul Anwaar Volume 77 Page 46]


10. जो शख़्स किसी चीज़ में अपने ख़ुदा को नाराज़ करके बादशाह को राज़ी करे वह दीने ख़ुदा से ख़ारिज है।
(तोहफ़ुलअक़ूल पेज 75)
Jo Shakhs kisi cheez me apne Khuda ko Naraaz karke Badshah ko Razi kare wo Dean-e-Khuda se Kharij hai."
[TOHFUL AQOOL PAGE 75]


11. जो किसी दौलतमन्द के पास आकर (उसकी दौलत की वजह से) इसका एहतेराम करे उसका दो तिहाई दीन चला जाता है।
(तोहफ़ुलअक़ूल पेज 8)
Jo Kisee Daulat Mand Ke Paas aakar usskee Dolat kee wajah se uss ka Ehteraam kare Uss ka 2/3 Deen chala jata hai"
[REFERENCE: TOHFUL AQOOL PAGE NO: 8]


12. नेकोकार की अलामतें दस हैंः-
1. ख़ुदा के लिये दोस्ती करता है।
2. ख़ुदा के लिये दुश्मनी करता है।
3- ख़ुदा के लिये रफ़ाक़त करता है।
4- ख़ुदा के लिये जुदा होता है
5- ख़ुदा के लिये ग़ुस्सा करता है।
6- ख़ुदा के लिये ख़ुश होता है।
7- ख़ुदा के लिये अमल करता है
8- ख़ुदा के सामने दस्ते सवाल दराज़ करता है।
9- ख़ुदा के लिये ख़ुज़ू व ख़ुशू करता है यहाँ तक के ख़ुदा से ख़ौफ़ व तरस की ख़सलत रखता है।
10. ख़ुदा के लिये नेकी करता है।
(तोहफ़ुलअक़ूल पेज 21)

Nekokaar ki Alamate 10 hain"- 1. Khuda ke liye doastee karta hai. 2. Khuda ke Liye Dushmani karta hai. 3. Khuda ke liye Rafaqat karta hai.  4. Khuda ke liye Juda hota hai.  5. Khuda ke liye Ghussa karta hai. 6. Khuda ke liye Khush hota hai. 7. Khuda ke liye amal karta hai.  8. Khuda ke samne Dast e Sawaal daraaz karta hai. 9. Khuda ke liye Khusho o Khazo karta hai yahan taq ke Khuda se Khof o Tarss kee Khaslat rakhta hai. 10. Khuda ke liye Neki karta hai.
[REFERENCE: TOHFUL AQOOL PAGE 21]